Tuesday 1 March 2022

DEOBAND AKABIR KI NAZAR MEIN ALA HAZRAT

DEOBAND AKABIR KI NAZAR MEIN ALA HAZRAT




Aala Hazrat Imam-e-Ahlay Sunnat, Molana Shah Ahmad Raza khan Brelvi (Rehmat ul Alhay) Istaqamat,Ashiq-e-Rasool(asslato-asslaam)

### DEO BANDD AKAABIR KI NAZAR MEIN###

1) Janab Ashraf Ali thanvi shahib Farmatay hain:' meray dil mein Ahmad Raza k liye bai hadh Ihtram hai ,wo Humain Kafir kehta hai,Laikin Ishq-e-Rasool(aslato-assalaam) kie bana per kehta hai kise aur garz se tou nahi kehta''
Chiitah Lahore 23 April 1926


. . . . . . . .

2) Khurasheed Ali Khan S.D.O(naher) kehtay hain k:- Molana Amhmad Raza khan brelvi kay intaqal per breli se Hazrat Thanvi kay aik murred ka Tar(letter) aya,jou mein nai per kar sunaya, hazrat thnavi nai. (Inelha wo inalha rajeoin), peri hazrien mein se kise nai kaha k Molana Ahmad 0brelvi nai ap ko Kafir kaaha ar ap iun k maut per inhila per rahay hain,Hazrat Thanvi nai Farmaya '' Molvie Ahmad Raza khan baray Alim aur Ishq-e-Rasool(assalto-asalaam) mein dhoobay howay thay. Iunho nai meri ibarat ka jou matlab samja aur iuse k bina per ju likha wo sahi tha. Aur ager mein in ki jaga hota aur wo meri jga hotay,aur iun ki kalam se yeh Alfaz sarzad hotay,tou ise matlab ki bana per w jou samjay thay,mein iun k takfir hi karta. (Molana Kosar shafi Niazi nai b Mufti Muhammad shafi Shahib DEo Bandi ki zubani suna howa yehi wakiya,Apnay Kalam '' Mushatad-o-Tasarat''(Roznama Jang)mein tehreer kiya)

. . . . . . . .

3) Abu Al-Ali Modvi shahib Farmatay hain:-'' Moalna Ahmad Raza khan shahib Ilim-o-Fazal ka mere dil mein bara ihtram hai,Fi-alwaka wo uloom-o-deeni per bari nazer rakhtay hain,aur iun ki fazeelat ka aitraf iun logo ko b hai,jou iun se ihtilaaf rakhte hain,nazie mobhasat ki waja se jou Talhiya paida hui hain,darasal iun k ilmi kamalat,aur deeni khidmat per perda dalnay ki mojab hui''( hafta Roza shahab Lahore,25 november 1926)

. . . . . . . .

4) anab syed Sulemman Nadvi shahib Farmtay hain;-ise Ahkar nai Janab Molana Ahmad Raza khan brelvi (Marhoom) ki chand Kitabien dekhie,tou meri ankhie hairan(surpise) ho kar reh gie,hairan(surprise) tha k yeh wakiye . Moalana Ahmad Raza khan shahib kie hain,Jin k mutaliq kal tak yeh suna tha,k wo sirf ahle-Bidat ki tarjmaan hain, aur sirf chand frohi maseel tak mehdood hain, Mager Aj pata chala k NAHI..HERGIZ NAHI.yeh Ahle-Bidat k Naqeeb nahi bal k yeh tou alm-e-Islam k scholar and shahkar nazaer atay hain,jis tara Molana Ahmad Raza ki tehreero mein gehri pai jati hai,ise tara gehri tou mera ustaad-e mukram, (jinad molana shibli nomani,aur hazat Hakeem Molana Ashraf Ali Thanvi, aur molana Mehmoond Al-hassan deo bandi aur hazrat Molana shykh ul Tafseer Allama shahbir Ahmad Usmani k ANDER B NAHI HAI,jis Qader Molana Amhad Raza khan ki tehriroo mein hai'' ( Mahmana 'Nadoo'August 1913 page 17 )

. . . . . . . .

5) ''Seerat Ul Nabi'' k naam ki mashoor kitab likhnay walay. Janab Shimbli Noumani shahib farmtay haim:- "Molvi Amhad khan Raza shahib jou apnay Aqeed mein sahat Tasdad hain,mager ise k bawajood Molana Amhad Raza shahib ka ilmi-e-Shajar ise Qader buland darjay ka hai, k iuse dor k tamama Aalm-e-deen Molana Amhad Raza khan shahib k samnay pirka ki b haisiat nahi rakhte, ise Aqar nai b ap Ahmad Raza ki kiatabien parien,jis mein Aikam-e-Shariat aur deegar Kitabien b shamil hain, aur naiz yeh k.. Molanaa ki sarprasti per aik Mahanama Risala ''Al Raza'' breli se niklta hai,jis k chand Qistien Bagoro-Hoz dekhie hain,jis mein Buland paya Mozameen shaya hotay hain'' Reesala "Nadoo" October 1924 page 17)


6) Mashoor siaysi aur Mazhabi Leader Molana Muhammad Ali Johar Farmatay hain :-''iuse dor k Mashooor Alme-deen Moalana Ahmad Raza khan brelvi wakiye aik Azeem Muslam rehnama hain,hum baz batoo ki ikhitalaf k bawajood iun ki Azeem shakhsiyat, aur deeni rehnama honay k aitraf ise liye kartay hain k wo iuse dor k . sub se baray Mohaqaq,musanaf,adeeb,shair,madqiq aur MARDE_HAQ thay, bila shuba asie hastiyo ka wajod-e-masoood humray liye Marhoon-e-minat hai.'' (roznama khilafat Mumbai Page 4)

. . . . . . . .

7) Janab Anwar Kashmri (sadar madras Darulloom deo Band) Farmtay hain:-Jub banda Tirmizi Shareef aur deegar Kutab-e-Hadees ki shaouro Likh raha tha,tou Bisab-e-Zorert Ahadees ki jazeeiat dekhnay ki zorert paid ie.. tou meinn nai shia, hazrat ahlay Hadees aur ahlay deoband hazrat kie kitabien dekhie mader zaihen Mutmin na howa,Bik akhir aik dost ki mashwaray se Molana Ahamd Raza khan ki kitabien dekhie tou mera dil mutmin hogoya tou mein ab bahobi ahadees ki sharoue bila jijhak likh sakta hoon,wakiya brelvi hazrat k serkarda Alim Molana Ahmad RAza khan shahib ki tehrrieen shistaaur mazboot hain,jisay dekh kar yeh andaza hota hai, k yeh Molvi Ahmad RAza khan shahib aik zabardast Alim-e-deen aur fikiya hain'' Mahnama Hadi,deoband, Jamadil Awal 1330 hijri,page 21)


8) Darulloom deoband ki shiekh Al Adaab, Jinab Izaaz Ali Farmtay hain :- yeh Ahqar yeh baat tasleem karnay per majoor hai k,ise door ander ager mohqaq aur alm-e-deen hai tou wo Molana Ahmad Raza khan shahib hain q k mein nai Molana Ahmad Raza khan ko , jisay hum aj tak,kafir,mushrik bidati kehtay rahay hain, buhat wasiee ul nazar aur buland kahyal iloo himat alam-e-deen shahib e fikro nazar paya hai, Ap Ahmad Raza k daliel Quran-o-sunat se mutsadim nahi, bal kay am ahang hain,lihaza mein ap ko mashwara doonga,ager ap ko kise mushkal maslay mein,ager ap ko kise masalay mein kise kisamki uljaan dar paish ho,tou ap breli mein jakar, Molana Ahmad Raza khan shahbi brelvi se tehqeeq karien'' ( Reesala Al-Noor,thana bhoon, Shawal al Mukram, 1346 hijri page 40)

. . . . . . .

9) Justice Malik Ghulam Ali Shahib farmtay hain:-Haqeeqt yeh hai k Molana Ahmad Raza khan shahib k barien mein ab tak hum log shaht Galt fehmi mein mubtala thay.iun k baz tasanief aur fatwa k matalia k bad,ise natiija per pohncha hoon,' jou ilmi gehri mein iun ki yaha paii wo buhat kam logo mein pai jati hain'' aur Ishq-e-Khuda aur Rasool(assalato-assalam) iun ki satar satar se phoot parta hai (Aramgani Haram Page 14 Lakhnuw)

. . . . . . .

10) Janab Moen ul deen Nadwi farmtay hain :-'' Molana Ahmad Raza khan shahib brelvi iuse door k shahib-e-ilem o nazar ulma musanfeen mein se thay, deeni Hasoosan Fika o Hadees per iun ki nazar qasiee aur gehri thie, Molana Ahmad raza jis waqt nazr aur tehqeeq k sath ulma k istafraat k jawab tehreer farmay hain, iuse se iun k jamiyat,ilmi biseerat ,deeyanat aur tabie ka pura pura andaza hota hai,iun k alamana mehkana fatway Mohalfat o Moofaq her Tabka k Mootlia k lain hain Mahnama Mohraf, Azam Garh Shumra September 1949)

. . . . . . .

11) Jinab Shahbir Ahmad Usmani Farmatay hain :- Molana Ahamd Raza khan ko Takfir k jurm mein Bura kehna buhat hi bura hai hai, q k wo buhat baray Alam-e-deen aur Buland paya k Muhaqiq thay, Molana Ahmad Raza khan ki Rihalat Alam-e-Islam ka buhat bara saniha hai,jise nazar andaz nahi kiya ja sakta'' ( Ma Hadi Deoband Zul haja 1369 hijri page 21)

. . . . . . .

12) Jinab Muhammad Yousaf Banoori k walid shahib Zakira shah Banori Farmatay hain:- '' Ager Allah Talla Hindustan mein Molana Ahmad Raza khan brelvi ko paida na farmatay tou hindustaan mein Hanfiyat Hatem hojati ''

. . . . . . .


13) Jinad Abu Al Hassan Ali Nadvi Farmatay hain:- Fika Hanfi aur iuse ki Jaziat per jou, Molana Ahmad Raza khan ko aboor hasil tha, ise Zamamne mein iuse ki Nazer nahi milti


14) Modvi Jammat ka Mashoor sahafo Janab Manoor Al haq farmtay hain :- Jub hum Imam Ahmad Raza khan fazle Brelvi ki kitabo ka matalia kartay hain tou,tou masool hota hai k yeh shakhs apni ilmi Fazelat aur apni abkiriyat ki waja se doosray ulma per akaila hi barie hai '' (Mahanama hijaz-e-jadeed , New Dehli januray 1989 page 84)

. . . . . . .

15) Molana Hiyaat Muhammad Kosar Niazi Farmtay hain :- Molana Ahmad Raza khan Brelvi k barien mein ula deoband k biynaat per mushtamil mazmoon ise Haqeeqat ka aitraaf hai k, Aala Hazrat Ahmad raza Brelvi bilashuba sachay Ashq-e-Rasool(assalato-assalaam aur deen k Yagaana rozgar Alam-e aur milat ki Mohsin thay'' (Roznama JUNG Lahore 3 October 1990 )

. . . . . . .

16) Janab Dr. Israr Ahmad (bani tanzeem-e-islami) Farmatay hain:- ''Imam Ahmad Raza khan Peechli sadi ki Mujdeed thay aur iun k ilam mein koi shak nahi''(24 october 2004, Sialkot Anwar Club(Confernce 2004) )


No comments:

Post a Comment