Friday 12 June 2020

(roman urdu) SHAB E BARAT



SHAB E BARAT
@01

Sha'baan Ki Pandharween Raat Ka Naam
Aam Istilah Me Shab e Bar'at Hey
Is Raat ki Fazilat Qur'an Paak Se Ba'az Sahaba e Kiram Ki Tehqiq Se Sabit Hey

(Surah e Dukhan Aayat 1-4)
ALLAH Ney Qasam Yaad Farma Kar Is Raat Ko
"LAILATUL MUBARAKA"
Kaha

1- Allama Aalusi;
"Hazrat e Akrama aur 1 Jamat e Sahaba Is Taraf Hey Ke Is Sey Muraad Sha'ban Ki Nisf Raat
(Yani Pandharween Raat Jisey Shab e Bar'at Kaha Jata He) He
(Tafseer e Roohul Mua'ani)

SHAB E BARAT
@02

2- Abu Saud;
"Lailatul Mubaraka Se Murad Lailatul Bar'at (Nisf Shaban) B Hey
(Tafseer e Abi Saood)

3- Allama Imam Raazi;
"Hazrat Akrama Aur Dusrey Sahaba Ne Kaha Ke Ye Lailatul Bara'at Hey Jo Sha'ban Ki 15th Hey"
(Tafseer e Kabir)

4- Allama Sawi;
"Lailatul Mubaraka Se Murad Sha'ban Ki 15th Hy.
Yahi Qoul Akrama Aur Kayi Dusrey Sahaba Ka He

Is Raat k 4 Naam Hen
1.Mubaraka
2.Rehma
3.Bar'at
4.Sak
Aur is Raat Ibadat Karna Afzal Hy
(Saawi)

SHAB E BARAT
@03

Muta'addid Ahadees Sey
Is Shab Ki Fazilat Sabit Hey

Sihah Ki 2 Kutub
Tirmizi, Ibn e Maja
Ke Ilawa
Musnad e Ahmed,
Baheeqi,
Musannaf Ibn e Abi Sheba
Me Kayi Ahadees Iski Fazilat Pr Mazkur Hen.

Kuch Ahadees Mulahiza Hon Jin Me Nabi Paak Ke Irshad Se Fazeelat Ki Wazeh Tayeed Hey

SHAB E BARAT
@04

1- Hazrat Ali Sy Marwi;
Huzoor Karim Ny Farmaya;
"Jab Sha'ban Ki Nisf Raat Aaye To Tum Raat ko Qayaam Karo Aur Din Ko Roza Rakho.
Beshak Guroob e Aftab Se Subeh Sadiq Tak ALLAH Paak Ki Rehmat ka Nuzool Aasman e Dunya Par Hota Hey.
Rabb Ta'ala Ki Taraf Se Aawaz Di Jaati Hey,
Khabardar !!
Hey Koi Jo Mujse Bakhshish Talab Karey,
Mey Usey Bakhsh dun. Khabardar !!
Hey Koi Rizq Ka Taalib
Ke Usey Rizq Ataa Karun. Khabardar !!
Hey Koi Musibat Zada
Ke Mey Usey
Aafiyet Ataa Karun.
Khabardar Koi Is Tarah Hy?
Khabardar Koi Is Tarah Hy?"
(Ibn e Maja -
Bab Ma Jaa'a Fi Lailatin Nisf Min Sha'ban P#99)

SHAB E BARAT
@05

2- Hazrat Abu Moosa Ash'ari Sy Marwi;
Huzur Ny Farmaya;
"Beshak ALLAH Ki Rehmat Ka Sha'ban Ke Nisf Ki Raat Mey Zuhoor Hota Hy.
ALLAH Apni Tamam Makhlooq Ko Muaf Farma Deta Hy
Siwaye
Mushrik,
Logon Sy Bughz Rakhnay Walay,
Dushmani Karny Waley"
(Ibn e Maja)

3- Hazrat Ayesha Sy Marwi; Huzoor;
"Sha'ban Ki Nisf Raat My Saal My Paida Hony
Aur Fout Hony Walon,
Baais e Rif'at Naik A'amal Aur Rizq Ke Asbab Likh Dye Jaaty Hen"
(Bahiqi)
(Mishkat)

SHAB E BARAT
@06

4- Hazrat Urwa Sy Marwi; Hazrat Ayesha;
"May Ny Ek Raat Rasulullah Ko Gum Paaya To Apki Talaash Ke Lye Nikli.
Aap Baqee(Qabrastan) Me Aasman Ki Taraf Sar Uthaye Huey They.
Huzur Ny Farmaya...
.....Beshak ALLAH Paak Apni Rehmat e Kaamila Sy Nisf Sha'ban Ki Raat
(Shab e Bar'at)
Aasman e Dunya Par Nuzool Farmata Hy.
Banu Kalb Ki Bakriyon Ke
Baalon Sy Zyada Magfirat Farmata Hy"
(Tirmizi)

Is Mazmun Ki Ahadees Muta'addid Asnad Sy
Warid Huin

SHAB E BARAT
@07

5- Shab e Bar'at Ki Fazeelat Waly Baab Me
Hazrat Abubakar Sy Bhi Tirmizi My Hadees Marwi Hy

6- Huzur Ny Farmaya;
"15th Sha'ban Ko
ALLAH Paak (Ki Rehmat) Aasman e Dunya Ki Taraf Nuzool Farmata Hy.
Is Raat Har Gunahgar Ki Bakhshish Hoti Hy
Siwaye Mushrik w Keena Parwar Ke"
(Behiqi)

7- Muaz Bin Jabal Sy Bi Yahi Manqool Hy

8- Ata Bin Yasar Sy Marwi;
"Koi Raat Lailatul Qadar K Baad 15th Sha'ban Ki Shab Sy Zyada Fazilat Wali Nahi"
(Behiqi)

SHAB E BARAT
@08

9- Hazrat Ka'ab Sy Marwi;
"ALLAH Jibraeel ko 15 Sha'ban Ki Shab Jannat Ki Taraf Bhejta Hy,
Ke Wo Aarasta Hony Ka Hukum Puhncha Den.
Or Keh Den K ALLAH Is Raat My
Aasman Ke Sitaron,
Dunya Ke Din Raat,
Darakht Ke Patton,
Paharon Ke Wazan
Auur Rait Ke Zarron Ki Ginti
Ke Barabar Bandon Ko Aazad Karega"
(Baheeqi)

10- Akrama Sy Marwi;
"15 Shaban Khuda Ki Taraf Sy Hikmat Waly Har Kaam Ka Faisla Kya Jaata Hy
Zinday Likhey Jaaty
Aur Haji Qalamband Hoty Hen
Phir Is Sy Na Koi Barhta Hy
Aur Na Kam Hota Hy"
(Ibn e Jarir)
(Ibn e Manzar)
(Ibn e Abi Hatim)

Mazeed Ahadees Bhi Paish Ki Jaa Sakti Hen

SHAB E BARAT
@09

Alhamdulillah Hum Ne
Shab e Bar'at
Par Hamara Moaqqaf Jaan Lya

Is Hawalay Se Kye Jaane Waley
Tamam Aetirazat
Naqis, Gair Mayari, Jahalat Par Mabni, Musalmano ko Ibadat Sy Roknay Ki Na Paak Jasarat Aur Gumrah Karney Ki Shaitani Sazish Hen

Aaye!!
Ab Biltarteeb Inke Jawabaat Dye Jayenge

SHAB E BARAT
@10

Jinhe Aetraaz Hey
Agar Wo Arabi Parhay Huey Nahi
To Kam Az Kam
Hamary Islaaf Ki Is Hawaley Sy
Mustaqil Abwab Par Mabni Kutub Ke Urdu Tarajim
Parh Len
Jo Ba Aasani Mayassar Hen (Maslan
Ma Sabat Bis Sunnah, Makashifatul Quloob,
Gunyat u Talibeen,
Tuhfatul Ikhwan,
Nuzhatul Majalis,
Rukn u Din Etc)

Unhe Beshumar Ahadees Ke Elawa Mutaqaddimeen w Muta'akhireen Ke
Be Hisab Aqwal Mil Jaenge. Phir Unhe
Tamak Toiyan
Maarnay Ki Haajat Na Hogi.

SHAB E BARAT
@11

Aetraaz #01;
Amma Ayesha Wali Hadees In Par Bohtan Hy

Ans:
1.1- Ye Buhtan Apke Khayal My Kis Ny Lagaya?
Imam Ahmed Raza Ny

Ya
Hazrat Urwa Ny
(Ke Ye Amma Sy Rawi Hen)

Ya
Tirmizi, Ibne Maja, Behiqi
Aur
Ibn e Abi Sheba Ny
(Ke Ye Sab Naqil Hen) ?

1.2- Kya Kisi Ny Is Hadees Ki Jarah w Ta'deel Karty Huey Isko Mozu (Mangharat Ya Khud Sakhta) Kaha?

1.3- Agar Tirmizi Ny Isey Zaeef Kaha Bhi To Kya Fazail My Zaeef Riwayat Mo'tabar Nahi Hoti?

SHAB E BARAT
@12

1.4- Zuaf Ki Waja Ye Ke Rawiyon My
Hajjaj Ny Yahya Sy
Aur Yahya Ny Urwa Sy Nahi Suna,
Ye Zuaf Buhat Naram Hy
Hosakta Hy
Barah e Rast Nahi,
Bilwasta Suna Ho.
Ye Aeb Wo Nahi Jo Kizb Wagera Ki Tohmat Ke Sabab Paaya Jata Hy.
Sabit Hua Agar Chey Rawi Siqa Nahi
Magar Haqiqat My
Ye Hadees Hi Hy.
Aur Is Sy Mustahibbat Sabit Ho Sakty Hen.
Musalmano ka Aqeeda Hy Ke Is Shab Ki Ibadet Mustahib Hy Na Ke Wajib,
Zaeef Hadees Sy Bi Iska Suboot Jaiz

SHAB E BARAT
@13

1.5- Is Hadees ko Zaeef Kaha Gaya Magar Ye Nahi Kaha Gaya Ke Kisi Hadees Sy Isko Ta'eed Hasil Nahi Hoti.
Chun Ke Taeed Karny Wali Kayi Ahadees Bayan Ki Jaa Chuki
Lihaza Wazeh Hogaya Ke Ye Hadees Hasan Ligairihi Hy
Aur Is Sy To Ehkam e Wajiba Bhi Sabit Ho Sakty Hen
Aur Bil Ittifaq Daleel Ke Tor Par Pesh Kya Ja Sakta Hy

1.6- Agar Maan Lya Ke Hazrat Ayesha Wali Hadees Zaeef Hy To Shab e Barat Ki Fazeelat Pr Baqi Sahee Ahadees Ka Kya Hoga?

SHAB E BARAT
@14

Aetraaz #02;
Agar Ye Hadees Sahee Bhi Ho To Qur'an Ka Inkar Hy

Ans:
2.1- Ibn e Abbas Farmaty Hen;
"15th Shaban Ko Tamam Umoor Ke Faisley Kar Lye Jaaty Hen
Aur 27 Ramzan Ko Tamam Umoor Farishton K Supurd Kar Dye Jatey Hen"
Qur'an Paak Ki
Aayat e Dukhaan,
Hazrat Akrama
Aur Dusrey Ashab Ke Bayan, Muta'addid Sahee Ahadees
Aur Mustanad Mufassireen Ke Aqwaal Ke Baad
Shab e Bar'at Ki Fazilat Mey Qur'an Ki Kis Aayat Sy
Takrao Ya Inkar Hy?

SHAB E BARAT
@15

2.2- Agar Bilfarz
Qur'an Pak Sy
Shab e Bar'at Ki Fazilat Sabit Na Bhi Ho To
Sirf Hadees e Pak Sy Sabit Hona Bi Kafi Hy.
Ke Ahadees Hi Sy To Hum
Arkan e Islam
(Namaz, Zakat, Roza, Hajj)
Ke Ehkam Sabit Karty Hen.
Agar Ahadees Ko Na Tasleem Kya Jaye
To Islami Ehkam Par
Amal Mumkin Hi Nahi.

SHAB E BARAT
@16

Aetraaz #03;
Aurton Ka Qabrastan Jana Mana Hy To Amma Ayesha Kyun Gayin?

Ans:
3.1- Hadees;
"Qabron Ki Ziyarat Karny Wali Aurton Par La'nat Ho"

Tirmizi;
"Ahl e Ilm Ka Is Hadees My Ye Aetqaad Ke
Huzoor Ny Qabron Ki Zyarat Ka Jo Hukum Aur Rukhsat Farmayi,
Ye Hadees Is Sy Pehlay Ki Hy

KyuKe Pehlay Mardon,Aurton Sabko Mumaniat Thi,
Jb Ijazat Mili To
Sab K Lye Mili

Han, Aurten Sabar Na Karen
Aur Rona Peetna Ho To Inhe Mana Hoga"
(Mishkat)

SHAB E BARAT
@17

3.2- Ek Aur Hadees
Jo Musnad e Ahmed O
Mishkat My Hy
Ke
Hazrat Ayesha
Roza e Rasul Par Jb Ke
Abu Bakar o Umar
Bi Madfun They
Jaya Karteen
Wazeh Hua Ke Aurton Ka Qabron Par Jana Mutlaqan Mana Nahi

3.3- Ibn e Maja w
Tirmizi Ki Hadees My Bi
Amma Ayesha Ka Qabrastan Jana Aur Huzur Ka Na Rokna Is Baat Par Dalalat Karta Hy
Ke La'nat Wali Hadees Pehlay Ki Hy
Aur Ijazat Wali Hadees
(Ibne Maja w Mishkat My)
Baad Ki Hy

3.4- Ibn e Maja o Mishkat
My Hazrat Ayesha Sy Hi Marwi;
"Sahib e Qabar Ko Zaair Sy Sukoon Milta Hy"

Ibne Masud sy Marwi;
"Qabar Ki Zyarat Zuhad Aur Aakhirat Ki Yaad Ka Baais Hy"

SHAB E BARAT
@18

Aetraaz #04;
Baqee Madina My Hy
To Fazilat Wali Surat Ka
Nuzul Makkah My Kyun?

Ans:
4.1- Deegar Jo Tamam Ahadees Bayan Kin
Is My Baqee Aur Madina Paak Ka Zikar Kahan Hy?

Kya Ye Mumkin Nahi Ke
Huzur Ny Shab e Bar'at Ki Fazilat To Makkah Paak My Bayan Farmayi Ho
Aur Amma Ayesha
Madina My Huzur Ke Paas Ayin,Is Lye Unhe Us Waqt Malum Chala

Ye Bi HoSakta Hy Ke Inhe Ma'lum To Ho Magar Achanak Ye Khayal Na Aya Ke
Huzur Kahan Tashrif Le Gaye

SHAB E BARAT
@19

4.2- Agar Aap Ye Samajhtey Hen Ke Makki Surton Ki Tamam Aayat Makki
Aur Madni Soorton Ki
Tamam Aayat Madani Hen
To Ye Soch Sara Sar Baatil o Jhoot Hy.

Allama Suyooti;
"Kayi Surat Makki Hen
Magar Un My Ba'z Aayat Madani Hen"
(Al-Itqan)

Pas Aapki Aetraaz Me Di Jane Wali Daleel Naqis Hy

SHAB E BARAT
@20

Aetraaz #05;
Nabi Paak Par Bohtan Hy
Ke Itna Arsa Fazilat Ko Chupaya

Ans:
5.1- Huzoor Ke Muta'adid Farmudat,
Kutub e Ahadees w Tafaseer
Ki Roo Sy Hargiz Ye Lazim Nahi
Aata Ke Huzoor
Jo BASHIR O NAZEER Hen
Unhon Ny Kabhi Kisi Fazilat Ko Chupaya

Ye Logo Ki
Jasarat e Makruh Hy
K Ek Taraf
Huzoor Par Bohtana
Lagany K Lye
Maahol Paida Kya Jaye
Jab Ke
Dusri Taraf
Babarkat Raat My
Musalmanon Ko Ibadat Sy Door Rakhny Ki
Shaitani Sazish Ko
Taqwiyet Di Jaye

Alhamdulillah
Shawahid o Dalail k sath Jawab Mukammal Kye
Is Dua Ke Saath
Ke ALLAH
Wahabi Sharr Sy Tamam Aalam Ko Mehfooz Rakhey.
Aameen.

No comments:

Post a Comment